Wednesday, January 26, 2011


" AAM INSAAN ya I M INSAAN? "

Ye duniya jism faroshi ka bazaar, jung ka maidaan, khooni samundar bankar reh gaya,
Jahan logon ki keemat unke paak dil se nai, unke shaatir dimaag se lagana reh gaya.

Tabhi to khuda bhi is paapi duniya me avatar lene se katra gaya…
Mujhse bola- ki kaise ye duniya satyug se kalyug banker reh gaya?,
Aur tu  aam insaan sirf sochta reh gaya?
Haath par haath dhare sirf dekhta reh gaya…?

Kyun tu kuch na kar saka????
Are jab tera hi ghar….
Ghar se makaan, makaan se khandahar, khandahar se deewaro ka dhancha ban kar deh gaya….

Aur tu e aam insaan sirf sehhta reh gaya?.....
Kuch na kar saka..Yunhi dekhta reh gaya?........

2day India's Republic ya Mari-Public..cause Democracy means Dde-Mohe-Kursi.

" Jab Hakumat pe yakin kho dungaa
  Tab apaney mukkadar ko dosh dunga

  Yeh kya Hifaazat karenge hamaari
  Dekh k lunga fir aankhe band kar lungaa "

No comments:

Post a Comment