woh har early gudmorning ki wish..woh har late gudnight ki kiss
woh ghantto tak mobile pe baate..fir bhi din bhar unhi ki yaade
woh hee zindagi thi agar,toh yeh kyaa hai ??
woh kashtdaayak pyaar..woh mittthi si takraar
woh antakshrii kaa khel..fir bhi tutte dilo ka mel
woh hee zindagi thi agar,toh yeh kyaa hai ??
woh pehli pehli baarish ..woh hazaaro aisi khwaahish
woh miss callo ki bharmaar...fir bhi ek misscall ka intezaar
woh hee zindagi thi agar,toh yeh kyaa hai ??
woh promiso ki mahaamaari..woh bharose ki balihaari
woh unn dino ki raatein...fir bhi unn raato mein vaade
woh hee zindagi thi agar,toh yeh kyaa hai ??
woh dilo ki memory mein store hona...woh billo ki zanzatt se bor hona
woh sachchaai ka raas na aana...fir bhi harkato se baaz naa aana
woh hee zindagi thi agar,toh yeh kyaa hai ??
woh ummido ka junun..woh armaano ka khun
woh nafarat ki laggan...fir bhi pyaari si jalan
woh hee zindagi thi agar,toh yeh kyaa hai ??
woh bebassi kaa aalam...woh khushiyo kaa maatam
woh doubt o ki laachaari..fir bhi himmat naa haari
woh hee zindagi thi agar,toh yeh kyaa hai ??
woh Rajkot ki mulaakaat...woh upparkot ke haalaat
woh pehli nazar ka scene...fir bhi what do i mean
woh hee zindagi thi agar, toh yeh kyaa hai ??
woh outstate ki tour...woh najadikiyaa se door
woh early morning kaa call...fir bhi tol mol k bol
woh hee zindagi thi agar, toh yeh kyaa hai ??
woh caller tune ka doubt...woh LOC ka over n out
woh dil ne jisse apanaa kaha...fir bhi sapana apanaa raha
woh hee zindagi thi agar, toh yeh kyaa hai ??
woh feelings ka honaa choupat...woh baat baat pe hona popat
woh utane saare SMS ka daur...fir bhi yeh dil maange more
woh hee zindagi thi agar, toh yeh kyaa hai ??
woh bevakufiyaa ka andaaz...woh understanding ka aaghaaz
woh bebajah ke zagade..fir bhi apni zidd pe adde
woh hee zindagi thi agar, toh yeh kyaa hai ??
yeh rishto me fool stop...yeh pyaaraa sa break off
yeh hee zindagi hai, haa yahi zindagi hai..aur kyaa ?
No comments:
Post a Comment